Delhi Unveiled

Delhi Unveiled
Minar - e - Qutub

Happiness & Togetherness

Happiness & Togetherness
Agra - Taj Kids

Wednesday, December 3, 2008

kuch ne ji lee Zindagi par abhi kuch ko maut ani baki hai Bharat Ke Jan Gan Man Ko Jawab Dena Abhi baki hai

My Title of the so called poem is Symbolic
kuch ne ji lee Zindagi par abhi kuch ko maut ani baki hai
Bharat Ke Jan Gan Man Ko Jawab Dena Abhi baki hai
Humney to abhi Mombatti hi jalayi hai
abhi Kalam ya talwar uthani baki hai
bahut kuch ho gaya
per abhi bhi bahut kuch karney ko baki hai
kuch ne ji lee Zindagi par abhi kuch ko maut ani baki hai
Desh ko chhalni kar diya andar bahar ke badmashoon ney
par abhi hamara jawaab dena abhi baki hai
sarkarein ayein aur gayeen,
avaam ki nabaz nahi pakdi kisi ney
sab ney sekin siyasat ki rotiyaan
abhi to asli imtehan abki hai
Bharat Ke Jan Gan Man Ko Jawab Dena Abhi baki hai
jaag utha hai hindostan phir sey
wo 62 ganhtey nahi wo 62 saal they
jo is pidhi ney dekhe apni aankhon sey
wo manzar kaufnakh tha
ab aur kya dekhna ko baki hai
Kya Laashon per Khandar mein film banana abhi baki hai
62 saal pehle British Raaj ko haraya tha...
in 62 ganhtoon mein hamney Terror hi nahi humney
Raaj, Dhongi, ulgav, local waad Vilasi logon ko haraya hai
Har Bhartiye ka Aakrosh aaj Bahar Nikal Aya Hai
Ye wo jaljala hai jisney Angrejon ki neev hila di thi
Achhey achhey dushmanoon ki need uda di thi
Humney to abhi Mombati hi jalayi hai
abhi Kalam ya talwar uthana baki hai
Kuch ne apni shamat sirf bol kar bulai hai
Kaanp rahey hain Nirdayi atatai
Kaanp rahey hain phoohad neta
Vidwan Ravan ney bhi lagayey they Tahaka jatey jatey
Satya ko nahi tha pehchana ab har abhimani aur vilasi ki bari hai
Aaj Matri Bhoomi ka Saheed
Poochta hai sawal
Kya aisey karogey tum salook ....
Merey Janney Ke baad....
Merey Asahay Ma-Baap / Parivar ke saath??
Mainey Jaan di desh ki khatir ....
Maine Nahi Khela Koi Match....
Mujhey nahi chaiye Man of the Match sarikha award
Saheed kahen Pukar Key Koi hai jo suney unki baat
Hum Chahein kuch Jaanbaaz Sipahsalar
jinko pyari ho Desh Ki Aan Baan Shaan
Jo nahi padney dengey dushman ke paanv
Bharat Maa Ki Pavitra Dharti Par
Jo nahi uthney dengey aankh apney Tirangey par
Aao karen ek wada Jala Kar ek Mom Batti
Jisney ungli bhi uthai to tod dengey hum
Khaayengey hum seeney par sari goli
nahi khelney denge phir khooni holi
sarkar chuntey hain hum
desh chalaeno ko
naaki dushman ko peeth dikhaney ko
aur humarey SAHIDON ko bura bhala kahney ko
Yeh Jan AAkrosh Nahi
Aag Ugalta Angar nahi
yeh Badlaw ka LAVA hai
Inkalab nahi hamey Badlaw lana hai
Hum Hi Sena Hai Hum hi Hain NSG Hum hi Desh Ki Shaan
Jala Kar Khak Kiya humey Dushman Ko
Hum Badlaw ki Lalkaar hain
Desh Ko Chalaney Walon Tum Bhi Hum se hi Ho...
Bus Tumhey har pal Chunavon ka Intezar Hai.....
sambhal jao Siyasat Karney Walon
Desh Jaag Uthah hai
nahi saheynge tumhari manmarzi
aur nahi karengey ji hazoori
bahut kuch ho gaya
per abhi bhi bahut kuch karne to baki hai
kuch ne ji lee Zindagi par abhi kuch ko maut ani baki hai
Desh ko chhalni kar diya andar bahar ke badmashoon ney
par abhi hamara jawaab dena abhi baki hai
abhi bhi har Hindostani mein Zindadili baki hai
IS bar kamal, nahi haath nahi, hathi nahin, cycle nahi, laltein hain,
Hindustan Tum Par Bhari, Is baar HUMARI Bari Hai.......
kuch ne ji lee Zindagi par abhi kuch ko maut ani baki hai
Bharat Ke Jan Gan Man Ko Jawab Dena Abhi baki hai
Humney to abhi Mombati hi jalayi hai
abhi Kalam ya talwar uthani baki hai

- Arvind Sukhija

2 comments:

KDR said...

Hello Arvind,
I must say that u r a surely gifted poet who has such the gift of expression.
Keep it up!

Best wishes
KDR

welwisher said...

Hello Sir,

I like these lines of your poem that,Kuch ne ji li jindagi par kuch ko maut ani baki hai & you created a nice blog.

My Self - Still Learning About it !

My photo
Just like Air & Some times Wind!!! Enjoy The Fun!!! Whether its Rain or Sun !!! You are on the Run, Bcoz Life is Chase, Better Start Today, Else Somebody will have fun...? Run...Run..For Your Share of FUN!!!